Friday, June 4, 2010

kahte hain pyaar ka rishta hai; janam ka rishta..
hai janam ka jo ye rishta toh badalta kyun hai?

yahi hota hai toh aakhir yahi hota kyun hai?
yahi duniya hai toh phir aisi ye duniya kyun hai?

koi ye kaise bataye ki wo tanha kyun hai?
wo jo apna tha wo ab aur kisi ka kyun hai?

aas jo toot gayi..phir se bandhata kyun hai?
yahi hota hai toh aakhir yahi hota kyun hai?

ik zarra hath badha de toh ,pakad ye daaman..
uske seene main samaa jaye hamari dhadkan..
itni kurbat hai toh phir faasla itna kyun hai??

No comments:

Post a Comment